Jab tanhaiyon ka saaya chaa jata hai…. ek pyaara sa chehra aake muskura jata hai…,
Mein roun agar to aakar mere aansuo ko apni hateli mein chupa jata hai…,
Mein chahu agar k badhkar tham loon usko to haule se daman chura jata hai…….
kabhi hawa k jhonke sa aakar mera daman hila jata hai…….
Kabhi bagon k phool sa mera jevan mehka jaata hai……
Kabhi satata hai… kabhi hansata hai aur kabhi yun bhi rula jaata hai…..
Dil chahe rok loon is gujarte waqt ko….. in lamho ko… in yadon ko….
Par ye khuda hai jo taqdeer mein kuch aur hi likhe jata hai…….
0 comments:
Post a Comment