Monday, September 3, 2007

wo yadein wo palchin.....

Waqt ka hanthon se ret ki tarah fisal jaana ……

Tera zindagi mein aana aur yun chale jana…..

Mudkar dekhna aur haule se muskura jana……

Takrav k baad hamara yun gehre dost ban jana…..

Mera tujhe aur tera mujhe satana……

Zindagi ki rahon mein dhokha khana……

Mera ladkhadana aur fir teri bahon k sahare se sambhal jana……

Wo ruthna wo manana…. Wo hansna wo hansana……

Sagar kinare se wo door tak tehel aana……

Mushqil hai ab in yadon ka dil se bhulana……..

0 comments: